Barsat
baadal garaj raha hai bijli chamak rahi hai
pur-kaif hain fazaen har shai damak rahi hai
baad-e-KHunuk chaman mein bal kha ke chal rahi hai
barg-e-hina ki rangat pahlu badal rahi hai
chehre pe yasiyat ke nur-e-shabab chhaya
maKHmal ka sabz qalin fitrat ne yun bichhaya
mayus har shajar ne badla libas apna
har murgh-e-KHush-nawa ne chheDa naya tarana
nikli sada-e-bulbul koyal ki kuk gunji
chiDiyon ki chahchahahaT lutf-e-hayat lai
tezi mein aa gai hai dariyaon ki rawani
maidan khet basti har samt pani pani
chashme ubal rahe hain nahren shabab par hain
naghmat-e-naujawani chang-o-rubab par hain
phulon se aur phalon se shaKH-e-shajar ladi hai
ushshaq ke dilon mein uljhan si paD gai hai
sarsabz ho gaya hai viran sara jangal
jangal mein mach gaya hai har-su KHushi ka mangal
KHushbu-e-jaan-faza se har jaanwar magan hai
un ke rag-e-amal mein wo josh maujzan hai
inam-e-be-baha hai qudrat ka ye nazara
'sahil' sukun-e-dil hai fitrat ka ye nazara
(877) Peoples Rate This