Aarzu
KHudaya aarzu meri yahi hai
ye hasrat dil mein karwaT le rahi hai
banun kamzor logon ka sahaara
dukhi logon ko dun har dam dilasa
zaifon be-kason ke kaam aaun
gharibon muflison ke kaam aaun
main apne doston ka dukh uThaun
jo ruThe hon unhen hans kar manaun
burai se sada laDta rahun main
bhala har kaam hi karta rahun main
hamesha alam se rakhkhun mein ulfat
kitabon se sada rakhkhun mohabbat
jo bhaTke hon unhen manzil dikhaun
jo aandhe hon unhen rasta bataun
karun man bap ki dil se main KHidmat
rakhun ustad se apne mohabbat
buzurgon ki nasihat par karun main
main nafrat ke charaghon ko bujhaun
diya amn o mohabbat ka jalaun
karun apne watan ki pasbani
ata karna mujhe wo naujawani
KHudaya aarzu kar de ye puri
yahi bas iltija hai tujh se meri
(837) Peoples Rate This