Wo Aankh Ajab Rau Mein Baha Le Gai Hum Ko

wo aankh ajab rau mein baha le gai hum ko

ek mauj thi sahil se uTha le gai hum ko

kab shauq se jata hai koi rah-e-junun par

wo to teri nazron ki KHata le gai hum ko

is shahr mein hum jurm-e-mohabbat ke liye aae

aur dasht mein taqsir-e-wafa le gai hum ko

hum kaun qalandar the ki ja milte KHuda se

par ek but-e-kafir ki dua le gai hum ko

ek zist hamein jis ne kahin ka nahin rakkha

ek maut ki sine se laga le gai hum ko

le jata tha har yar hamein apna samajh kar

phir yun hua ek rose qaza le gai hum ko

KHushbu tere aanchal ki thi ya tere badan ki

sang apne bahar-haal uDa le gai hum ko

hum dil the aur ek dil ke liye aae the 'sagar'

par mauj-e-gham-e-dahr baha le gai hum ko

(603) Peoples Rate This

Mohammad Saleem Sagar's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Wo Aankh Ajab Rau Mein Baha Le Gai Hum Ko In English By Famous Poet Mohammad Saleem Sagar. Wo Aankh Ajab Rau Mein Baha Le Gai Hum Ko is written by Mohammad Saleem Sagar. Read famous Poem Wo Aankh Ajab Rau Mein Baha Le Gai Hum Ko for youth and Student by Mohammad Saleem Sagar. Free Download Wo Aankh Ajab Rau Mein Baha Le Gai Hum Ko in PDF.