Yaad Hai Aah Ka Wo Rang-e-nawa Ho Jaana
yaad hai aah ka wo rang-e-nawa ho jaana
yun fazaon mein simaTna ki ghaTa ho jaana
is qadar kaif ki madhosh-e-faza ho jaana
dekhna saz ko aur naghma-sara ho jaana
husn ki fitrat-e-masum thi paband-e-hijab
ishq se sikh liya jalwa-numa ho jaana
rasm-e-adab-o-mohabbat ka wo paband kahan
jis ki taqdir mein ho nazr-e-wafa ho jaana
husn ek ishq ki soi hui kaifiyyat hai
ishq hai husn ka bedar-e-wafa ho jaana
nai zanjir hai duniya ka har ek hangama
asl mein qaid hai zindan se riha ho jaana
mast-e-pindar sahi saz-e-KHudi kyun chheDun
be-KHudi ko meri aata hai KHuda ho jaana
yaad hai mujh ko wo gahwara-e-zulmat ki faza
itna tariki mein phir taki 'ziya' ho jaana
(591) Peoples Rate This