Parda-e-saz Mein Bhi Soz Ka Hamil Hona
parda-e-saz mein bhi soz ka hamil hona
shama se sikh sharik-e-gham-e-mahfil hona
bazm-e-hasti pe hai mushkil mera mail hona
mujhe aata nahin sar-gashta baatil hona
naKHuda tu mujhe aaluda-e-tufan na samajh
mauj-e-dariya ko sikhata hun main sahil hona
sazgar aaj mujhe rah bhi hai rahbar bhi
meri qismat mein hai aasuda-e-manzil hona
rishta-e-hosh hai wabasta tujhi se ai dost
kabhi mumkin nahin tujh se mera ghafil hona
dil se hoshiyar ki hai dil hi tarah ain hayat
maut se bhi hai siwa be-KHabar-e-dil hona
sai ke baad na kar kawish-e-fikr-e-anjam
laanat-e-sai hai zahmat-kash-e-hasil hona
barish-e-abr se bijli ki lagi bujh na saki
ghair-mumkin hai ilaj-e-tapish-e-dil na hona
har qadam par rah-e-hasti mein nai Thokar hai
ai 'ziya' sahl nahin faez-e-manzil hona
(584) Peoples Rate This