Koi Ye Iqbaal Se Ja Kar Zara Puchhe Ziya
koi ye 'iqbaal' se ja kar zara puchhe 'ziya'
muddaton se kyun teri bang-e-dara KHamosh hai
ek arsa ho gaya naghme nahin firdaus-e-gosh
tishna-e-saz-e-lab-e-'iqbaal' har ek gosh hai
bazm-e-hasti mein wahi ab tak hai paida intishaar
KHud hi muslim muztarib hai KHud musibat-kosh hai
is gulistan mein manazir ka wahi hai rang bhi
dekhne wala fareb-e-did mein madhosh hai
KHun shahidon ka rawan hai jang ke maidan mein
aur ghazi ki zaban par nara-e-pur-josh hai
kya qalam jaulaniyan apni dikha sakta nahin
wo qalam jis ki nawa bhi sur ki ham-dosh hai
kya tere jazbaat ke shoale bhaDak sakte nahin
kya tera wo gulKHan-e-pur-soz ab gul-posh hai
kya abhi baqi hai teri ruh mein agli taDap
aa main dekhun ab bhi kya sine mein tere josh hai
hashr hai aalam mein barpa aur tu hai mutmain
shor hai mahfil mein paida aur tu KHamosh hai
jag uTThi qaum tere naghma-e-bedar se
pahle wo behosh thi aur aaj to behosh hai
kund talwaren huin ahd-e-zira-poshi gaya
jag uTh ghaflat se waqt-e-KHud-faramoshi gaya
(625) Peoples Rate This