Hamil-e-azmat-e-fitrat Dil-e-insan Nikla
hamil-e-azmat-e-fitrat dil-e-insan nikla
hum jise phul samajhte the gulistan nikla
ras aai na kisi ko bhi ye mahfil yarab
ki jo nikla teri duniya se pareshan nikla
ghuncha-o-gul ko sikha dunga mazaq-e-parwaz
main jo gulshan mein kisi rose par-afshan nikla
main to samjha tha use be-KHabar-o-mustaghni
wo to har zarra-e-alam ka nigahban nikla
be-junun aai thi kya fasl-e-bahaari imsal
aastin chaak hui aur na gareban nikla
dil jise mehr-e-jahan-tab se ek nisbat thi
ek bujhta sa charagh-e-tah-e-daman nikla
kabhi tar-daman-e-alaish-e-duniya na hua
zahe qismat ki main aasuda-e-tufan nikla
jise ishrat-kada-e-dahr samajhta tha main
aaKHir-e-kar wo ek KHwab-e-pareshan nikla
guftugu ghuncha-e-lab-basta ne ki mujh se 'ziya'
bahr-e-gul-gasht jo main sar-ba-gareban nikla
(722) Peoples Rate This