Aaj Apne Dil Se Phir Uljha Hun Main
aaj apne dil se phir uljha hun main
muddaa ye hai ki dekhun kya hun main
rokna ai maddiyat ke hijab
KHud-baKHud ifsha hua jata hun main
hai meri aankhon mein kaif-e-be-KHudi
KHwab-e-doshin se abhi jaga hun main
chandni raaton mein jab uThti hai mauj
nur ban kar chand mein bahta hun main
kis qadar rangin hai mera mizaj
subh ke phulon ka gahwara hun main
gulsitan mein chheD kar ghunchon ke saz
KHud-baKHud ek git ga leta hun main
jada-e-hasti hai ek rah-e-ghalat
ye kahan gum ho ke aa pahuncha hun main
dur tak koi nahin hai ham-KHayal
aise KHwab-abaad mein tanha hun main
karwan-e-zindagi aage gaya
pur-ghubar ek subh ka tara hun main
tang hai mujh par faza-e-kaenat
zarre ki aaghosh mein sahra hun main
zindagi ki bujh gain shamen 'ziya'
tirgi-e-shab ka parwana hun main
(593) Peoples Rate This