Nigah-e-lutf Se Teri Kahin Jo Hum Milte
nigah-e-lutf se teri kahin jo hum milte
hamari zist ke sham-o-sahar baham milte
hamein fareb-e-KHirad ne Dubo diya warna
hamare jam se KHud aa ke jam-e-jam milte
kisi ke dard pe hansna kisi ke gham mein KHushi
ye lamhe kash zamane ko kam se kam milte
na hote hum to zamane ki aagahi ki qasam
na lauh milti na tum ko kahin qalam milte
sar-e-niyaz ki azmat ke raaz jab khulte
dar-e-butan se nishan-e-dar-e-haram milte
tamam-umr ganwa di talash mein lekin
KHuda na milta na milta kahin sanam milte
kalam-e-'asar' ki arzish nahin zamane mein
kahin jo hoti to halke se kuchh waram milte
(536) Peoples Rate This