Na Tesha Humne Dekha Hai Na Ju-e-shir Dekhi Hai
na tesha hum ne dekha hai na ju-e-shir dekhi hai
magar han kuchh to jazb-e-ishq mein tasir dekhi hai
har ek shai mein nazar aane lagi hai aap ki surat
na jaane kis nazar se aap ki taswir dekhi hai
kahan se laega wo qais-o-laila ka bharam ai dil
ye mana tu ne husn-o-ishq ki taswir dekhi hai
palaT jaegi KHud zor-e-qayamat apna dikhla kar
agar barq-e-tapan ne hammat-e-tamir dekhi hai
hamari KHak-e-marqad har taraf gulshan mein bikhra do
ki hum ne dil-jalon ki KHak mein iksir dekhi hai
sitam-dida nigahen kah rahi hain wahima hoga
jo main ne ek shagufta KHwab ki tabir dekhi hai
na jaane aaj-kal kya ho gaya hai 'asr' ko hamdam
guzarish jo bhi hoti hai bahut dil-gir dekhi hai
(549) Peoples Rate This