Na Sar-nigun Na Ba-zahir Udas Udas Chale
na sar-nigun na ba-zahir udas udas chale
ajib shan se marne wafa-shanas chale
bana ke KHugr-e-ehsas-e-dard-o-gham-e-dil ko
hamare pas se sare hujum-e-yas chale
suna ke ahl-e-junun ko bahaar ka muzhda
hawas wale bhi ek samt bad-hawas chale
hayat nam hai aise safar ka ai hamdam
qadam qadam pe jahan fikr-e-as-o-yas chale
zaban pe aae to Dar hai bane na afsana
wo baat jis pe bahut har taraf qayas chale
hamari dalq-nawazi pe rashk karne ko
suna hai dair-o-haram se nazar-shanas chale
maza to jab hai bahaaron ki faiz-o-baKHshish ka
ki 'asr' jam bhi be-arz-o-iltimas chale
(546) Peoples Rate This