Be-KHudi Mein Jab Teri Mahfil Mein Diwane Gae
be-KHudi mein jab teri mahfil mein diwane gae
ahl-e-dil ahl-e-hawas ke farq pahchane gae
kaise kaise haal mein dekha janab-e-shaiKH ko
mahfil-e-rindan mein jab bhi waz farmane gae
mai-kash-e-awara is duniya se kya uTh kar gaya
mai gai jam-o-subu saqi-o-mai-KHane gae
ai hasinan-e-jahan ahl-e-hawas se hoshiyar
warna husn-o-ishq se marbut afsane gae
faisla-kun kis qadar thi hae zalim ki ada
dil-jigar qalb-o-nazar ke sare afsane gae
apne apne bas ki baaten ahl-e-mahfil jaan len
sham-e-mahfil ke qarin phir lije parwane gae
zindagi-bhar 'asr' go rindon ke ham-mashrab rahe
phir bhi diwanon mein farzane se gardane gae
(546) Peoples Rate This