Zist Mein Rang Bhar Gai AaKHir
zist mein rang bhar gai aaKHir
wo nazar kaam kar gai aaKHir
jazb-e-wahshat ki karsazi se
dil ki qismat sanwar gai aaKHir
chir kar parda-e-mah-o-anjum
aap hi par nazar gai aaKHir
jo qayamat guzarni thi hum par
dil ke hathon guzar gai aaKHir
hae wo ek nigah-e-duzdida
kya kya ilzam dhar gai aaKHir
jo KHalish dil mein thi nihan pahle
rag-o-pai mein utar gai aaKHir
azm-e-taban se bar-sar-e-manzil
raushni si bikhar gai aaKHir
soz-e-dil ke tufail ai 'mansha'
shairi bhi nikhar gai aaKHir
(593) Peoples Rate This