Sharik-e-soz-e-darun Jab Se Ho Gae Alfaz
sharik-e-soz-e-darun jab se ho gae alfaz
nawa-e-dard mein shoale piro gae alfaz
suna ke dastan dil-doz wardaton ki
na jaane kitnon ke daman bhigo gae alfaz
kabhi kabhi to kuchh aisa bhi ittifaq hua
taDap ke jag uThe arman to so gae alfaz
mili na jab unhen iblagh ki tawanai
to aap apne muqaddar ko ro gae alfaz
uThe to sare zamane ki ban gae aawaz
dabe to aabru apni Dubo gae alfaz
KHatib-e-shahr ne ki baat dosti ki magar
dilon mein tuKHm adawat ke bo gae alfaz
ghazal-sarai-e-'mansha' pe yun hua mahsus
ki jaise ruh ke andar samo gae alfaz
(584) Peoples Rate This