Phulon Ko Tabassum Ki Ada Tujhse Mili Hai
phulon ko tabassum ki ada tujh se mili hai
gulshan ko junun-KHez hawa tujh se mili hai
ai KHuld-nazar jaan-e-chaman ruh-e-bahaaran
shabnam ko ye namnak ziya tujh se mili hai
bazm-e-mah-o-anjum ko bhi ai shahid-e-rana
ye nur se bharpur faza tujh se mili hai
gulgun lab-o-ruKHsar ke sadqe mein shafaq ko
ye rang ki daulat ba-KHuda tujh se mili hai
us ru-e-ziya-bar pe ye abr ka ghungaT
bijli ko yaqinan ye haya tujh se mili hai
saqi teri aankhon ki qasam saghar-e-mai ko
ye kaifiyat-e-hosh-ruba tujh se mili hai
ai dost teri nim-nigahi ke tasadduq
dil ko KHalish-e-ruh-faza tujh se mili hai
kaunain ke har raaz ko mahram jise kahiye
'mansha' ko wahi fikr-e-rasa tujh se mili hai
(650) Peoples Rate This