Gul ZaKHm Ko Aansu Ko Guhar Humne Kaha Hai
gul zaKHm ko aansu ko guhar hum ne kaha hai
har aib-e-mohabbat ko hunar hum ne kaha hai
ranai-e-jalwa ko ba-sad husn-e-tayaqqun
KHud apna hi ek aks-e-nazar hum ne kaha hai
kuchh baat to hai jis ke sabab sare jahan mein
ai dost tujhe KHuld-nazar hum ne kaha hai
kahne ko rah-e-shauq mein rahi to bahut the
manzil ko magar gard-e-safar hum ne kaha hai
ho jin se gham-e-tirgi-e-shab ka mudawa
aise hi ujalon ko sahar hum ne kaha hai
haq-goi ka anjam samajh kar bhi ai 'mansha'
jo kahna tha be-KHauf-o-KHatar hum ne kaha hai
(617) Peoples Rate This