Dil Ko Har Aish Se Begana Bana Kar ChhoDa
dil ko har aish se begana bana kar chhoDa
tum ne aaKHir ise diwana bana kar chhoDa
do nigahon ka tasadum to koi baat na thi
us ka bhi logon ne afsana bana kar chhoDa
sehn-e-gulshan mein tarab-KHez bahaar aate hi
hum ne har phul ko paimana bana kar chhoDa
saikDon tarah ke but is mein ikaTTha kar ke
kaba-e-dil ko bhi but-KHana bana kar chhoDa
aalam-e-shauq mein parwaz ke matwalon ko
azm-e-bebak ne parwana bana kar chhoDa
dil ka thoDa sa lahu is mein mila kar hum ne
ashk-e-be-dard ko durdana bana kar chhoDa
'mansha' is daur mein hasti ki giranbari ne
achchhe-achchhon ko bhi diwana bana kar chhoDa
(625) Peoples Rate This