Dard Se Jaan Churaate Hue Dar Lagta Hai
dard se jaan churaate hue Dar lagta hai
dil ko viran banate hue Dar lagta hai
chaar aansu sar-e-mizhgan to koi bar nahin
gham ki tauqir ghaTate hue Dar lagta hai
log to baat ka afsana bana dete hain
is liye lab bhi hilate hue Dar lagta hai
apni hasti se na ho jaun kahin begana
aap se rabt baDhate hue Dar lagta hai
husn-e-be-parda ke jalwe bahut arzan hain magar
tohmat-e-did uThate hue Dar lagta hai
azmat-e-dair-o-haram ka na bharam khul jae
sar tere dar pe jhukate hue Dar lagta hai
jis ke har lafz mein hon gham ki karahen 'mansha'
aisa afsana sunate hue Dar lagta hai
(563) Peoples Rate This