Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_63b6c42d23f0a0e88de6876175c184fe, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chah Ki Tum Se Iltija Ki Hai - Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha Poetry In English - Darsaal

Chah Ki Tum Se Iltija Ki Hai

chah ki tum se iltija ki hai

hum ne kitni hasin KHata ki hai

zulm jin doston ne Dhae hain

dil ne un ke liye dua ki hai

zulf-e-hasti sanwarne ke liye

hum ne koshish to barha ki hai

Dubte hain safine sahil par

sab inayat ye na-KHuda ki hai

is pe bandon ki hakimi kaisi

jab ye sari zamin KHuda ki hai

jaan par apni khel kar 'mansha'

karne walon ne yan wafa ki hai

(611) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chah Ki Tum Se Iltija Ki Hai In English By Famous Poet Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Chah Ki Tum Se Iltija Ki Hai is written by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Read famous Poem Chah Ki Tum Se Iltija Ki Hai for youth and Student by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Free Download Chah Ki Tum Se Iltija Ki Hai in PDF.