Ba-nam-e-ishq Gham-e-motabar Zaruri Hai
ba-nam-e-ishq gham-e-mo'tabar zaruri hai
hayat ke liye koi hunar zaruri hai
kuchh aur ho na ho hasil baqa-e-dil ke liye
ek iztirab-e-musalsal magar zaruri hai
nashat-e-did jo manzur hai to ai yaro
nazar ke sath KHulus-e-nazar zaruri hai
bahut ghalat hai tamanna-e-KHud-faramoshi
wafur-e-ishq mein apni KHabar zaruri hai
KHyal-e-zinat-e-fasl-e-bahaar se pahle
mizaj-dani-e-barq-o-sharar zaruri hai
kuchh hum bhi aap se ummid-e-lutf rakhte hain
udhar bhi ek uchaTti nazar zaruri hai
chaman ko aur hasin-tar banana hai 'mansha'
to rang-e-kari-e-KHun-e-jigar zaruri hai
(777) Peoples Rate This