Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a373c0b0b2a7d75124a78e5fcde72ab5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phir Koi KHwab Tere Rangon Se Juda Nahin Dekha - Mohammad Khalid Poetry In English - Darsaal

Phir Koi KHwab Tere Rangon Se Juda Nahin Dekha

phir koi KHwab tere rangon se juda nahin dekha

kya kuchh dekh liya tha hum ne kya nahin dekha

awwal-e-ishq ki saat ja kar phir nahin aai

phir koi mausam pahle mausam sa nahin dekha

sab ne dekha tha tera hum ko ruKHsat karna

hum ne jo manzar dekhne wala tha nahin dekha

be-kal be-kal rahna did ka phal to nahin hai

dekhne wali aankh ne jaane kya nahin dekha

hum jise parda-e-KHwab mein rah kar dekh rahe hain

jagne walo tum ne bhi dekha ya nahin dekha

(615) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Koi KHwab Tere Rangon Se Juda Nahin Dekha In English By Famous Poet Mohammad Khalid. Phir Koi KHwab Tere Rangon Se Juda Nahin Dekha is written by Mohammad Khalid. Read famous Poem Phir Koi KHwab Tere Rangon Se Juda Nahin Dekha for youth and Student by Mohammad Khalid. Free Download Phir Koi KHwab Tere Rangon Se Juda Nahin Dekha in PDF.