Hai Safar Mein Karwan-e-bahr-o-bar Kis Ke Liye
hai safar mein karwan-e-bahr-o-bar kis ke liye
ho raha hai ehtimam-e-KHushk-o-tar kis ke liye
kis ki KHatir zaiqon ki saKHtiyon mein hain samar
aur jhuk jati hai shaKH-e-barwar kis ke liye
kis ki KHatir hain badalte mausamon ki barishen
dil ghamin kis ke liye hai chashm tar kis ke liye
rat-jagon mein gunjne wali sadaen kis ki hain
hai hunar kis ke liye arz-e-hunar kis ke liye
kis ne zaKHm-e-na-rasi se bhar diye hain raste
chaarasazi kis liye hai chaaragar kis ke liye
la-makan mein kaun rahta hai makan mein kya nahin
dasht hain kis ke liye diwar-o-dar kis ke liye
kis ne rakkhi hain har ek manzar mein rangin saaten
KHalq farmae gae hain be-basar kis ke liye
kaun sunta hai hawaon ki ajab sargoshiyan
aur jati hain hawaen dar-ba-dar kis ke liye
(856) Peoples Rate This