Ek Rabt Tha Ba-rang-e-digar Bhi Nahin Raha
ek rabt tha ba-rang-e-digar bhi nahin raha
diwar kya giri koi dar bhi nahin raha
ab tak hai tu bhi aur teri haibat bhi be-misal
dil wo nahin hai dil mein wo Dar bhi nahin raha
kya ho agar labon pe abhi tak hai koi pyas
sahra mein jab sarab-e-nazar bhi nahin raha
us zaiqe se apni shanasai kya hui
go shaKH wo nahin wo samar bhi nahin raha
ab tak koi qayam ki saat nazar na aai
darpesh agarche koi safar bhi nahin raha
chhuTe hain aaise bar-e-safar se tamam log
jaise kisi ke dosh pe sar bhi nahin raha
mar se gae hain sang-e-malamat ke walwale
sar mein junun-e-arz-e-hunar bhi nahin raha
(556) Peoples Rate This