Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_33a1cbb34399fcddb777e0316c36e113, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chalte Chalte Yunhi Qadam Jab Dolta Hai - Mohammad Khalid Poetry In English - Darsaal

Chalte Chalte Yunhi Qadam Jab Dolta Hai

chalte chalte yunhi qadam jab Dolta hai

ek naya rasta apni banhen kholta hai

tan jati hai maut ki chadar duniya par

phir koi hath jahan ki nabz TaTolta hai

ruh ke andar phir kisi be-kal lamhe mein

koi parinda uDne ko par taulta hai

pahle sab aawazen ek shor mein Dhalti hain

phir koi naghma kanon mein ras gholta hai

ye izhaar bhi jabr ki surat hai koi

hum jo na bolen lahu ragon mein bolta hai

(694) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chalte Chalte Yunhi Qadam Jab Dolta Hai In English By Famous Poet Mohammad Khalid. Chalte Chalte Yunhi Qadam Jab Dolta Hai is written by Mohammad Khalid. Read famous Poem Chalte Chalte Yunhi Qadam Jab Dolta Hai for youth and Student by Mohammad Khalid. Free Download Chalte Chalte Yunhi Qadam Jab Dolta Hai in PDF.