Sunahri Nind Se Kis Ne Mujhe Bedar Kar Dala
sunahri nind se kis ne mujhe bedar kar Dala
daricha khul raha tha KHwab mein diwar kar Dala
nishan honTon ka lau dene laga hai zehn mein ab to
bil-aKHir main ne us ko mishal-e-ruKHsar kar Dala
naqahat aur bala ka husn aur aankhon ki dil-giri
ajab bimar tha jis ne mujhe bimar kar Dala
mere dil se lipaTti zulf bhi to dekhta koi
sabhi nalan hain main ne shahr kyun mismar kar Dala
meri utran se apni satar-poshi kar raha hai wo
mere tarz-e-ghazal ne kya use nadar kar Dala
jo KHaif the ghazal mein zikr-e-baghdad-o-buKHara se
wo KHush hon main ne ab zikr-e-lab-o-ruKHsar kar Dala
(637) Peoples Rate This