Qirtas O Qalam Hath Mein Hai Aur Shab-e-mah Hai
qirtas o qalam hath mein hai aur shab-e-mah hai
ai rabb-e-azal khol de jo dil mein girah hai
atraf se har shab simaT aati hai safedi
har subh jabin par magar ek roz-e-siyah hai
main sham se pahle hi pahunch jaun to behtar
jangal mein hun aur sar pe mere bar-e-gunah hai
mahngi hai jahan dhat mere surKH lahu se
zardi ke us aashob mein to meri panah hai
munh-zor zamanon ki zara khinch le bagen
mere kisi bichhDe hue ki sal-girah hai
(707) Peoples Rate This