Najat Ke Liye Roz-e-siyah Mangti Hai
najat ke liye roz-e-siyah mangti hai
zamin ahl-e-zamin se panah mangti hai
bhara na atlas-o-marmar se peT KHilqat ka
ye bad-nihad ab aab-o-giyah mangti hai
riyazaton se farishta-sifat to ho na saki
mohabbat aai hai tab-e-gunah mangti hai
wo rang-e-kucha-o-bazar hai ki ab basti
gharon se dur alag qatl-gah mangti hai
ragon mein dauDta phirta hai ijz sadiyon ka
raiyat aaj bhi ek baadshah mangti hai
(648) Peoples Rate This