Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9aa8f6447b2265be08c52766b042f1ec, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kisi Tarik Goshe Mein Basar Hogi Hamari - Mohammad Izhar Ul Haq Poetry In English - Darsaal

Kisi Tarik Goshe Mein Basar Hogi Hamari

kisi tarik goshe mein basar hogi hamari

mahal mein tujh ko pal pal ki KHabar hogi hamari

ajab ek sehr hoga jaan deti bebasi mein

farishton ki tasalli chaaragar hogi hamari

shuaon ki sawari nur ki raftar hogi

magar ek KHak-zadi ham-safar hogi hamari

jahanon ke safar hain aur sitaron se sanad hai

ghazal mein har riwayat mo'tabar hogi hamari

chhupe honge zamin ta-asman is mein tilismat

ba-zahir go hikayat muKHtasar hogi hamari

(699) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Tarik Goshe Mein Basar Hogi Hamari In English By Famous Poet Mohammad Izhar Ul Haq. Kisi Tarik Goshe Mein Basar Hogi Hamari is written by Mohammad Izhar Ul Haq. Read famous Poem Kisi Tarik Goshe Mein Basar Hogi Hamari for youth and Student by Mohammad Izhar Ul Haq. Free Download Kisi Tarik Goshe Mein Basar Hogi Hamari in PDF.