Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_97fdc81f90993228cd2b8718485d0f8e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Isi Duniya Mein Duniyaen Hamari Bhi Basi Hain - Mohammad Izhar Ul Haq Poetry In English - Darsaal

Isi Duniya Mein Duniyaen Hamari Bhi Basi Hain

isi duniya mein duniyaen hamari bhi basi hain

rawish se siDhiyan marmar ki pani mein gai hain

mahal hai aur sulagta ud hai aur jhaD-fanus

lahu se mushk aaza se shuaen phuTti hain

tamanna ke jazire aasmanon mein bane hain

mere chaaron taraf lahren isi jaanib uThi hain

ye kaisi dhup aur pani mein afzaish hui hai

bahishti Tahniyan is oDhni se jhankti hain

hamara nam bhi bara-dari par naqsh karna

ye sari jaliyan hum ne nigahon se buni hain

(581) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Isi Duniya Mein Duniyaen Hamari Bhi Basi Hain In English By Famous Poet Mohammad Izhar Ul Haq. Isi Duniya Mein Duniyaen Hamari Bhi Basi Hain is written by Mohammad Izhar Ul Haq. Read famous Poem Isi Duniya Mein Duniyaen Hamari Bhi Basi Hain for youth and Student by Mohammad Izhar Ul Haq. Free Download Isi Duniya Mein Duniyaen Hamari Bhi Basi Hain in PDF.