Barun-e-dar Nikalte Hi Bahut Ghabra Gaya Hun
barun-e-dar nikalte hi bahut ghabra gaya hun
main jis duniya mein tha kyun us se wapas aa gaya hun
koi sayyara mere aur us ke darmiyan hai
main kya tha aur dekho kis tarah gahna gaya hun
mujhe ras aa na paenge ye pani aur miTTi
ki main ek aur miTTi se hun aur murjha gaya hun
main patthar chum kar tahlil ho jaata hawa mein
magar zinda hun aur haihat wapas aa gaya hun
kahan main aur kahan darbar ka jahl-o-takabbur
magar ek ism ki tasbih jis se chha gaya hun
(520) Peoples Rate This