Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_af11e924ae9526f5a5d85be423c13a0f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bahut Se Raston Mein Tu Ne Jo Rasta Chuna Tha - Mohammad Izhar Ul Haq Poetry In English - Darsaal

Bahut Se Raston Mein Tu Ne Jo Rasta Chuna Tha

bahut se raston mein tu ne jo rasta chuna tha

farishte aaj tak hairat mein hain kaisa chuna tha

bahut se shahr rahne ke liye hazir the lekin

hamesha zinda rahne ke liye sahra chuna tha

jo pichhe aa rahe the un se tu ghafil nahin tha

ki tu ne raste ka ek ek kanTa chuna tha

jahan mein kaun tha dosh-e-nabi jis ka tha murkkab

isi KHatir barhana-pai ne tujh sa chuna tha

zamana jaanta hai kaun tha jo par utra

ki tu ne pyas aur darbar ne dariya chuna tha

(556) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Se Raston Mein Tu Ne Jo Rasta Chuna Tha In English By Famous Poet Mohammad Izhar Ul Haq. Bahut Se Raston Mein Tu Ne Jo Rasta Chuna Tha is written by Mohammad Izhar Ul Haq. Read famous Poem Bahut Se Raston Mein Tu Ne Jo Rasta Chuna Tha for youth and Student by Mohammad Izhar Ul Haq. Free Download Bahut Se Raston Mein Tu Ne Jo Rasta Chuna Tha in PDF.