Ummid
parson ne kal ko pala tha
parwan chaDhaya kal ne aaj
aur aaj ki kokh se farda janm le raha hai
jaise zamin ne suraj se zindagi pai thi
aur chand ko zamin se rizq pahunch raha hai
suraj zamin ka mazi aur chand us ka mustaqbil hai
jaise jamadat se nabaatat se haiwanat ke baad insan paida ho gaya
to zindagi ka safar yahan pahunch kar ruk jaega kya
kya nietzsche ka insan-e-baala ba-qaul-e-zardshut ke auraq hi mein dafn ho kar rah jaega
kya iqbaal ka shahin qasr-e-sultani ke gumbad hi mein basera kar lega
kya quran ke mutabiq insan ka muntaha KHuda nahin
to kya hum KHuda ki jaanib mahw-e-safar hain
aur jab hum KHuda tak pahunch jaenge to kya zindagi ka safar KHatm ho jaega
aur kya is maqam par waqt tham jaega tariKH tamam ho jaegi
ya wahan se ek aur jahan shurua hoga
ek naya aalam ek nai zindagi
ek naya KHuda?
waise agar KHuda hi ibtida aur KHuda hi intiha hai
to kya ibtida aur intiha ki taKHsis be-mani nahin
jaise jab daera mukammal ho jae to us ki ibtida aur intiha donon miT jati hain
to kya haqiqat ek kaamil daera hai ibtida aur intiha ke baghair
agar aisa hai to harkat kahan se aai
kahin ye daera phailta aur sikuDta to nahin rahta
kya waqt ka ruKH mazi se haal se mustaqbil ki jaanib hi rahta hai
ya mustaqbil se haal se mazi ki taraf bhi ho sakta hai
kya insan se haiwanat se nabaatat se jamadat ko lauTna bhi mumkin hai
aur kya ab aisa hi to nahin ho raha
zahir hai insan par KHuda ka rang to chaDh nahin raha
albatta haiwani sifat ne zarur ghar kar liya hai is mein
shahr-e-insan se shahr-e-KHuda ki jaanib to hum ja nahin rahe
kahin hum qadam-ba-qadam jangal ki taraf to nahin palaT rahe
kya hamari mazi-parasti hamein
haiwanat se nabaatat se jamadat tak to nahin le jaegi
kya hum pichhe muD kar dekhne ke jurm mein patthar ke ho kar to nahin rah jaenge
lekin kahte hain ki na-umid nahin hona chahiye ki na-umidi kufr hai
aaKHir jamadat se pahle bhi to kuchh maujud hoga
bhai, KHuda to tha us waqt bhi
aur agar KHuda hi hamara muntaha hai
to aage baDh kar na sahi
pichhe muD kar sahi
hum use pa hi lenge
bas iman mazbut hona chahiye
fana baqa aur laqa ki manzilen zarur aaengi
hum pur-ummid hain
(1321) Peoples Rate This