Suhana KHwab
jaise sarabon ka pichha karte karte laq-o-daq sahra mein
achanak naKHlistan mil jata hai
jaise kuDe karkaT ke Dher mein
KHubsurat phul khil jate hain
jaise TunDmunD daraKHton par
nai konplen phuT nikalti hain
jaise chaar su chhai hui KHamoshi mein
diwani koyal kuk uThti hai
jaise mayusiyon aur tanhaiyon mein
mahbub ki bhuli bisri yaad aa jati hai
jaise kale baadalon ke pichhe se
chamakta chand nikal aata hai
jaise hijr ki lambi raat ke baad
subh-e-visal tulua ho jati hai
waise hi zindagi ka bojh sahte sahte
maut ek suhana KHwab ban jati hai
aur KHuda ki neamaton mein se
ek neamat
(597) Peoples Rate This