KHala Aur KHuda

teri rah dekhte dekhte

aankhon ne dekhna hi chhoD diya hai

afsurdagi haDDiyon ke gude mein Tisen mar rahi hai

gosht-post thor-zada zamin ki tarah barbaadi ka naqsha pesh kar raha hai

lahu shiryanon mein jam kar rah gaya hai

na aane wale tu kab tak na aaega

kaenaton ke KHaliq kin aafaq mein kho gaya hai tu

kaun se aasman bha gae hain tujhe

kaun se KHala kha gae hain tujhe

KHala hi pasand hain to mere dil mein aa

ki tu ne is se baDa black-hole to abhi tak paida nahin kiya

aa ai KHuda aa

aa mere dil ke KHala mein aa

tu agar har jagah hai to mera dil kyun KHali hai

dil ke athah patal mein DhunDhta hun aur tujhe pata nahin

sochta hun kahin KHala hi KHuda na ho

shayad intizar hi us ki maujudgi ho

shayad adam hi us ka wajud ho

aur nafi us ka isbaat

phir ye soch palTa khati aur dil ke KHala mein utar jati hai

aur ek aawara aawaz ki tarah gunjti hai

gunjti hai gunjti hai gunje hi chali jati hai

aur aahista aahista ek lafz mein Dhal jati hai

KHuda

aur aaKHir mein ek sur rah jata hai

aa

dur kahin kisi ne darbari ka alap chheDa hai

aa

meri pathrai hui aankhen nam ho jati hain

dil KHun ho kar

aankhon se Tapak paDta hai

aur dil ke KHala mein gunjti hui aawaz pukar uThti hai

main ne to pahle hi kaha tha

yahi KHuda hai

(490) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHala Aur KHuda In English By Famous Poet Mohammad Haneef Rame. KHala Aur KHuda is written by Mohammad Haneef Rame. Read famous Poem KHala Aur KHuda for youth and Student by Mohammad Haneef Rame. Free Download KHala Aur KHuda in PDF.