Ai Ruh-e-zindagi
ai ruh-e-zindagi
ai KHuda ki quwwat-e-taKHliq
kaun si nai duniyaen aabaad karne mein masruf ho gai hai tu
is hamari duniya ki jaanib bhi palaT kar dekh
jo lamha-ba-lamha viran se viran-tar hoti ja rahi hai
ai ruh-e-zindagi
ai awwalin raushni ki abadi lau
maut ke andheron ko chirti hui aa
dekh main bazu khole khaDa hun
aa aur apni lapeT mein le le mujhe
meri aankhon se dekh
mere zehn se soch
mere KHwabon mein utar kar maKHluq-e-KHuda ki aarzuon ka andaza kar
mere dil mein paDaw kar
is ke shikasta aaine mein hamari haalat dekh
aur naghma chheD
jo kamzoron ki TuTi hui himmat ko az-sar-e-nau jawan kar de
wo sur phunk
jo zalimon ke dast o bazu ko toD kar rakh de
wo aah bhar jo faqon marti maKHluq par rizq ki barish ban kar baras jae
wo sada kar
jo niyat ke futur ko husn-e-KHayal mein
aur natije ki aziyyat ko husn-e-amal mein badal de
ai ruh-e-zindagi
ai KHuda ki quwwat-e-izhaar
meri duniya mein tere rang phike paD gae hain
dekh arbon insan jite-ji mar rahe hain
na-insani bad-amni mayusi bimari aur jahaalat ne
teri taswir mein maut ke rang bharne shurua kar diye hain
aa, aur bol mere andar se
aa, mera kalam ban ja bayan ban ja mera qalam ban ja mu-qalam ban ja
aa, insaf amn aur aazadi ko tarse huon ki ummid ban ja
aa, dosti mohabbat aur barabari se mahrum maKHluq ki Dhaaras bandhane aa
aa, aur jaldi aa
ki tujhe pukarte pukarte kahin main hath toD kar na baiTh jaun
(620) Peoples Rate This