Ahd Jaise Bhi Bandhe The Tere Mere Darmiyan
ahd jaise bhi bandhe the tere mere darmiyan
dard ke rishte juDe the tere mere darmiyan
ghair-mumkin tha fasilen faslon ki phandna
qismaton ke faisle the tere mere darmiyan
ek takallum ka talluq toDne se kya hua
aur bhi kuchh rabte the tere mere darmiyan
kya kahun manzil ki us ki samt bhi koi na thi
raste hi raste the tere mere darmiyan
tere dil ka man TuTe main ne kab chaha magar
aur bhi kuchh dil paDe the tere mere darmiyan
wasl ki sarshaariyon se jo na ho sakte the hal
aise bhi kuchh masale the tere mere darmiyan
samna tha ek to dariya-e-talatum-KHez ka
aur kuchh kachche ghaDe the tere mere darmiyan
tha safar darpesh jaane kitne 'nuri' sal ka
kaise kaise fasle the tere mere darmiyan
(602) Peoples Rate This