Haal-e-dil Apna Likhun Haal Tumhaara Likkhun

haal-e-dil apna likhun haal tumhaara likkhun

tu hi batla ki tere KHat mein main kya kya likkhun

un ko apnane ki sab koshishen nakaam huin

bazi-e-ishq mein ab apne ko haara likkhun

jis mein taswir nazar aati thi har waqt teri

aaina TuT gaya ab wo tumhaara likkhun

gar gareban hi salamat hai na daman us ka

kaisi haalat mein hai diwana tumhaara likkhun

'faiz' haalat hain jo kuchh bhi karam hai us ka

kyun na har haal ko ehsan tumhaara likkhun

(550) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haal-e-dil Apna Likhun Haal Tumhaara Likkhun In English By Famous Poet Mohammad Faizullah Faiz. Haal-e-dil Apna Likhun Haal Tumhaara Likkhun is written by Mohammad Faizullah Faiz. Read famous Poem Haal-e-dil Apna Likhun Haal Tumhaara Likkhun for youth and Student by Mohammad Faizullah Faiz. Free Download Haal-e-dil Apna Likhun Haal Tumhaara Likkhun in PDF.