Bazm Se Apni Jo Is Tarah UTha Dete Hain
bazm se apni jo is tarah uTha dete hain
jaane kis jurm ki ye log saza dete hain
main ne socha tha tera gham hi mujhe kafi hai
log aate hain mujhe aa ke hansa dete hain
ghair to ghair hain apnon ki ye haalat dekhi
jin pe takiya kiya wo log dagha dete hain
gham se ghabra ke kabhi lab pe jo aati hai hansi
wo tasawwur mein mujhe aa ke rula dete hain
ahl-e-dil ko to yahi kahte suna hai ai 'faiz'
apne bimar ko daman ki hawa dete hain
(535) Peoples Rate This