London Ki Ek Sham
ye rahguzar
ye zan o mard ka hujum ye sham
faraaz-e-koh se jis tarah naddiyan sar par
liye hue shafaq-alud barf ke paikar
safed jhil ki aaghosh mein simaT jaen
ye tund-gam subuk-sair karwan-e-hayat
na ibtida ki KHabar hai na intiha malum
kidhar se aae kidhar ja rahe hain kya malum
sunahri sham
ye 'e-rose' jhilmilata hua
bandha hua hai nishana khinchi hui hai kaman
kise ye tir lagega
kahan? yahan ki wahan!
nazar nazar se mili dil ka kaam KHatm hua
sunahri sham
ye 'erose' jagmagata hai
koi hanse koi roe ye muskuraata hai
isi maqam pe phir lauT kar mein aaya hun
ye rahguzar ye zan o mard ka hujum ye sham
ye tund-sair subuk-gam karwan-e-hayat
ye josh-e-rang ye Tughyan-e-husn ke jalwe
yahin ke nur se raushan meri nigahen hain
mere shabab ki rondi hui ye rahen hain
wahi maqam hai lekin wahi maqam nahin
ye sham to hai magar wo sunahri sham nahin
wo roab-dab nahin hai
wo dhum-dham nahin
wo main nahin hun
ki un ka main ab ghulam nahin
sanam-kadon mein ujale nahin rahe ki jo the
ki ab wo dekhne wale nahin rahe ki jo the
(1091) Peoples Rate This