Husn Ke Raaz-e-nihan Sharh-e-bayan Tak Pahunche
husn ke raaz-e-nihan sharh-e-bayan tak pahunche
aankh se dil mein gae dil se zaban tak pahunche
dil ne aankhon se kahi aankhon ne dil si kah di
baat chal nikli hai ab dekhen kahan tak pahunche
ishq pahle hi qadam par hai yaqin se wasil
intiha aql ki ye hai ki guman tak pahunche
kaba-o-dair mein to log hain aate-jate
wo na lauTe jo dar-e-pir-e-mughan tak pahunche
aankh se aankh kahe dil se hon dil ki baaten
wae wo arz-e-tamanna jo zaban tak pahunche
(849) Peoples Rate This