ShaKH-e-gulshan Pe Tha Jo Thikana Gaya
shaKH-e-gulshan pe tha jo Thikana gaya
us parinde ka to aab-o-dana gaya
aandhiyon ki hai zad par gharaunde yahan
yani hamdardiyon ka zamana gaya
zard mausam ki aamad ne badla saman
sabza-e-gulsitan ka zamana gaya
meri hasrat ne oDhi jo lafzi qaba
mere KHamosh lab ka tarana gaya
sham-e-bazm-e-tarab raat tanha rahi
koi parwana aaKHir kyun aa na gaya
yun hui shaKH se hijrat-e-tairan
marsiya rah gaya chahchahana gaya
yun na kamzor rishte ki buniyaad thi
aate jate yun hi aana jaana gaya
(531) Peoples Rate This