Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_768fd67289f8b9586b184dad6face867, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Ghar Sajaya Hai Tumne Janab Kis Ke Liye - Mohammad Aslam Khan Aslam Poetry In English - Darsaal

Ye Ghar Sajaya Hai Tumne Janab Kis Ke Liye

ye ghar sajaya hai tum ne janab kis ke liye

ye KHar kis ke liye hain gulab kis ke liye

agar hai pyas bujhani to justuju bhi karo

bacha ke kis ne rakhi hai sharab kis ke liye

kitab-e-zist ko yakja karun to kaise karun

ye bab kis ke liye hai wo bab kis ke liye

jahan mein koi bhi ahl-e-nazar nahin milta

agar karun bhi to chehra kitab kis ke liye

sawal aaj bhi ye la-jawab hai 'aslam'

hua hai dil mera KHana-KHarab kis ke liye

(579) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Ghar Sajaya Hai Tumne Janab Kis Ke Liye In English By Famous Poet Mohammad Aslam Khan Aslam. Ye Ghar Sajaya Hai Tumne Janab Kis Ke Liye is written by Mohammad Aslam Khan Aslam. Read famous Poem Ye Ghar Sajaya Hai Tumne Janab Kis Ke Liye for youth and Student by Mohammad Aslam Khan Aslam. Free Download Ye Ghar Sajaya Hai Tumne Janab Kis Ke Liye in PDF.