Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_396bna0lndo7dqoi3k5r8t5882, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHud Apne Aks Ko Apni Nazar Mein Kya Rakhna - Mohammad Aslam Khan Aslam Poetry In English - Darsaal

KHud Apne Aks Ko Apni Nazar Mein Kya Rakhna

KHud apne aks ko apni nazar mein kya rakhna

ki hum ne chhoD diya ghar mein aaina rakhna

kisi ke peD ka saya na aa sake ghar mein

gharon ke bich mein itna to fasla rakhna

tamam umr hi chahe uDan mein guzre

parai shaKH pe hargiz na ghonsla rakhna

meri nazar bhi andheron se ub sakti hai

koi charagh to yaro jala hua rakhna

lo tum bhi shauq se 'aslam' se ehtiyat rakho

hamein bhi aa gaya apnon se fasla rakhna

(642) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Apne Aks Ko Apni Nazar Mein Kya Rakhna In English By Famous Poet Mohammad Aslam Khan Aslam. KHud Apne Aks Ko Apni Nazar Mein Kya Rakhna is written by Mohammad Aslam Khan Aslam. Read famous Poem KHud Apne Aks Ko Apni Nazar Mein Kya Rakhna for youth and Student by Mohammad Aslam Khan Aslam. Free Download KHud Apne Aks Ko Apni Nazar Mein Kya Rakhna in PDF.