Mirza-ghaalib Aur Aam
mirza-'ghaalib' urdu ke shaer
aamon ke bhi rasiya the
ek din
ek sahib ke sath
jinhen aamon se
utni hi chiDh thi
baiThe guftugu farma rahe the
'ghaalib'
aamon ki KHubiyan aur
wo KHamiyan ganwa rahe the
tabhi saDak se
guzarte hue
chand gadhon ne
wahan paDe hue
aam ke chhilkon ko sungha
aur ye dekh kar
ki aam hain (kuchh KHas nahin)
aage nikal gae
wo sahib
uchhal kar bole
dekha 'ghaalib'
pata nahin tumhein aam hain
kyun itne bhate
are
aam to gadhe tak nahin khate
mirza-'ghaalib' ne
sar hila kar farmaya
han huzur
aap sach hi hain farmate
be-shak
gadhe aam nahin khate
(955) Peoples Rate This