ChhuTTi Ka Zamana
school band hain sab ab sair ko hai jaana
likhna hai ab na paDhna bas chhuTTiyan manana
basta kitab copy sab chhuTTiyan manaen
bar-e-giran se in ke hum bhi najat paen
baste mein jo bandha hai us ko jahan mein dekhen
kya kya kahan chhupa hai aao pata lagaen
sunte hain kuchh ajab hai duniya ka kar-KHana
likhna hai ab na paDhna bas chhuTTiyan manana
aao sunen kahani koi nai purani
nani sunaen ya phir dadi ki ho zabani
ek rakshas bhi aae ho KHub khincha-tani
aisi laDai ho ki aa jae yaad nani
phir KHatma mein aa kar dushman ka haar jaana
likhna hai ab na paDhna bas chhuTTiyan manana
bas khelne ki KHatir ye chhuTTiyan mili hain
har-su khilaDiyon ki kuchh Toliyan bani hain
lahra rahe hain balle genden uchhal rahi hain
footbaal ki bhi Teamen maidan mein aa gai hain
tagDa muqabla hai kuchh kar ke hai dikhana
likhna hai ab na paDhna bas chhuTTiyan manana
har samt har Dagar par chhuTTi ka raj qaem
aaankhon mein jhilmilate hain sair ke azaem
ji chahta hai sadiyon zinda rahen yahan hum
qaem rahe ye chhuTTi daim rahe ye mausam
bas soch hi to hai ye mumkin nahin ye mana
likhna hai ab na paDhna bas chhuTTiyan manana
(849) Peoples Rate This