Barsat Aa Gai Hai
garmi ke zulm se ye
duniya dahak rahi thi
pyasi zamin kab se
aakash tak rahi thi
mausam ko kya hua hai
pal mein badal gaya hai
lu ban ke chal rahi thi
ye to wahi hawa hai
dekho chali hawaen
chillain saen saen
baadal ko sath apne
har samt le ke jaen
tham tham chale hain baadal
Dam Dam baje hain baadal
kholi hai aasman ne
baadal ki apni chhagal
pani baras raha hai
mausam ye hans raha hai
barish mein bhigta hai
kichaD mein phans raha hai
baste uThae bachche
school ko chale hain
kheton ki samt apne
dahqan nikal paDe hain
har samt pani pani
nadiyon mein hai rawani
panchhi chahak rahe hain
KHushiyon ki hai nishani
garmi ko kha gai hai
har samt chha gai hai
dil ko lubha gai hai
barsat aa gai hai
(948) Peoples Rate This