Zaban Par Zaiqa Do Paniyon Ka Hai
zaban par zaiqa do paniyon ka hai
samundar darmiyan hota to is se puchhte
kis samt jaega musafir kal
KHunuk pani ke bajre par namak ki garm lahron mein
akela jaane wala jis taraf bhi jaega tanha nahin hoga
mohabbat paniyon par khelti hogi
so ye jal-makDiyon ki jal-sazi thi
ki sahil se ulajh kar log lahron mein utarte
aur un ko KHauf hota aansuon ke paniyon mein KHushk hone ka
main in ko paniyon ki nazr karta hun
so ai aadhe badan ki mehrban machhli
tum apne aansuon ko KHushk mat karna
mohabbat paniyon par khelti hogi
aur us ka zaiqa khul jaega
jis waqt jaega musafir kal
KHunuk pani ke bajre par namak ki garm lahron mein
(598) Peoples Rate This