Shahr Mein
bans ki konpalon ki tarah raat ki raat baDhti hui laDkiyo
aaine ke har ek zawiye se ulajhti hui laDkiyo
tasht-e-simab jhalkati jhukti hui laDkiyo
nit-nae mausamon ki tarah mujh pe biti hui laDkiyo
mere hone ko taslim kar lo to aage baDhin
KHwab-dar-KHwab bas ek hi KHwab hai
mere hone ka KHwab
bhagte raston mein koi sang raftar-paima bata de
ki main chal raha tha
bhiD mein chalte chalte achanak koi mujh ko kahni se aage baDha de
ki main rahnuma tha
koi fan ki dewi
surayya se utre
mujhe apne andar samo le
koi meri aankhon mein chubhte hue zarra-e-reg ke waste
apne aanchal ka kona bhigo le
mujhe rishta-e-jism-o-jaan mein piro le
koi bas ghaDi-do-ghaDi sath ho le
ya mujhe qulzum-e-KHud-faramoshi-e-mawara mein Dubo le
KHwab-dar-KHwab bas ek hi KHwab hai
mere hone ka KHwab
sanwli laDkiyo champai laDkiyo nit-nai laDkiyo
mere hone ko taslim kar lo to aage baDhen
kaun jaane daraKHton ke pichhe nai KHushbuen
raste bhar hamara swagat karen
kaun jaane ki aahaT se Darti hui faDfaDati hui faKHtaen
hamare suron par sipar tan den
aur hum sarsaraate hue aanchalon ki hua oDh kar so rahen
ya meri jaan-e-jaan
kaun jaane ki aate dinon mein kisi rose andhi saDak par
kisi chiKHte bhunkte kale kutte se Darte hue
hum achanak kahin aa milen
ajnabi raston ki taraf chal paDen
zehn mein KHwab ka silsila phailta ho
aankh mein nind ka zaiqa tairta ho
bahar-taur aasudgi hai
aur kohre ki chadar
aur sileTi parindon ki manind sahil ko tarik karti hui sham hai
aur yaKH-basta gahri daraDen
aur marmar ke bhaari sutunon se lipTi hui laDkiyan hain
aur fasilon ke us par tatar-o-taimur ka KHauf hai
aur us par talwar aur KHanjar uThae hue ahlakaran-e-afwaj bedar hain
palki nalki
aur kahaaron ki aawaz bibi haTo
ab ke barish ne mehndi ke peDon ki sari hina chhin li hai
main ki be-chehra
jismon ke jangal mein hone ka ek KHwab le kar chala tha
so ab sar-ba-zanu paDa hun
sanwli laDkiyo champai laDkiyo nit-nai laDkiyo
is gadagar ke kashkol ki sansanahaT suno
mere hone ka matam karo
apne hone ka matam karo
aur har aate-jate musafir se ro kar kaho
shahr mein KHairiyat ke siwa kuchh nahin hai
(625) Peoples Rate This