Saat-e-aghaz Ki Be-manawiyyat
sari be-manawiyyat saat-e-aghaz mein thi
jab hawa garm hui
saebani ke liye dhup mein ek patthar tha
safar aaghaz kiya
raat aasab-shikan lai thi bistar pe use
wo bhi diwar bana jis pe giri thi diwar
koi dam baiTh liye
phir safar aaghaz kiya
dil ne chaha tha ki ro len magar ab kya rona
dauD ki aaKHiri had par bhi koi rota hai
han magar wo jo abhi saat-e-aghaz mein hai
dauD ki aaKHiri had jis ke liye raaz mein hai
(561) Peoples Rate This