Jyotishi Din Mahinon Ka Qissa Suno
jyotishi din mahinon ka qissa suno
jab gharon se nikalti hui laDkiyan apne ghar jaengi
apne raste ki ho jaengi
aur tahmina-e-be-KHabar har gali ki KHabar
har gali ek nae ghar pe ja kar uchaT jaegi
ai meri ruh ke baadban
dukh khule paniyon ka safar umr-bhar
jyotshi din mahinon ka qissa suno
jyotishi rose har rose suraj khule paniyon se nikala gaya
rose suraj khule paniyon mein utara gaya
jyotishi din mahinon ki wahshat se aagah main
jyotishi is aziyyat se aagah main
jyotishi mere hone ka qissa suno
jyotishi sanp aankhon ne dekha to main sau gaya
mor panw ne dekha to main sau gaya
jyotishi mere sone ka qissa suno
jyotishi meri aankhon mein tahmina-e-be-KHabar ke liye an-ginat KHwab hain
KHwab wahshat ke aadab hain
subh suraj ka farman hai
aur suraj khule paniyon mein utara gaya
(566) Peoples Rate This